Suna Hai Ke Log Kachy Makanu Mein Rehte The
Suna Hai Ke Log kachy makanu mein Rehte the
Kachi thi dewary un ki
sarkandoo ki chato tale
mati ke sehno mein muhabtoo ke darya behte the
Suna Hai Ke Log kachy makanu mein Rehte the
Suna hai ke ek hi Chuly ke aag se
sare gawoon ke chule jalte the
Sabzi waly ki awazain na thi
ek duje ke khetoo se palty the
Sanji thi khusya un ki Sanjhe gum sehte the
Suna Hai Ke Log kachy makanu mein Rehte the
Suna hai k ek hi changar mein
thori se rotyan sari ghar ka pat bharti thi
Ek hi tha kamany wala kehto mein hall chalne wala
Ab sara gher kamata hai phir bhi koi bhuka rehjata hai
Ab qismat ka rona dhona hai
Phly tawakl ka sab kehte the
Suna Hai Ke Log kachy makanu mein Rehte the
Suna Hai Ke Log kachy makanu mein Rehte the
Suna hai gaon ki sari sahkiya
Humjoli ki surt panghat pe jati thi Haton pe dori lepty kanster liye
Saro pe ghager uthaye Jab gher ki dehlez se bhar ati thi
Muhly ke sare larky nazry jhuky rasta chor dete the
Tab hawas ke ter zabat ki kamanoo mein rehte the
Suna Hai Ke Log kachy makanu mein Rehte the
Suna hai ke Rahzanoo ke bhi kuch qanoon hote the
Apne hi Elake ke wasiyo ko Lootna Kesi jurm se kam na tha
Qanooni baghyoo ke bhi Qanoon-e-Rahzani the
Ameero mein Lutrye Mahtajo mein Ghani Kehlate the
Izatoo ke muhafiz be anchel saro ko anchel bahksty the
Tufani mojon mein bhetki lehro ko sahil baksty the
Abad dil the wo ,,wo jungal bebanoo mein rehte the
Suna Hai Ke Log kachy makanu mein Rehte the
Suna Hai Ke Log kachy makanu mein Rehte the
Heart Touching Urdu Poetry of Anjum Aziz Abbas.This urdu poetry rememberd us old memories of our village life.These poetry said us how we are loss our old life.The Time of old time was good then Today.New Generation forget the old life.
Zubair Jani
0 Comments