Peer Naseer Udin Naseer Shah Poetry Meri Zindagi Tu Firaq hai Wo Urdu Poetry in Urdu

Peer Naseer Udin Naseer Shah Poetry:

Peer Naseer Udin Naseer Shah Poetry


Meri Zindgi to firaq hai Wo Azal se dil mein makeen sahi
Wo nigah-e-shoq se door hai Rage jaan se lahk qareen sahi

Humain Jan deni hai ek din wo kesi terha wo kahen sahi
Humain Ap kanchy dar per jo nhi koi to humain sahi

Sar-e-Tor Sar-e-Hasher hai Humain Antzar qabool hai
Wo kabhi Mile wo kahin mile wo kabhi sahi wo kahin sahi 

Na ho un pe Kucch mera bas nahi Ke yeh ashiqi hai hawas nhi
Mein unhi ka tha mein unhi ka hoo wo mere nhi to nhi sahi

Mujhe baithne ki jaga mily meri arzoo ka bhramm rahee
Teri anjunn meinn agr nhi teri anjum ke qaren sahi

Tera dar to hum ko na milska teri rahguzr ki zameen sahi
Humain Sajda kerne se kam hai jo wahan nhi to yahan sahi

Meri zindgi ka naseeb hai nahi door mujsee qareeb hai
Mujhe us ka Gum to naseeb hai Wo agr nhi to nhi sahi

Jo ho fasla to sunaye usey haser pe na uthye
Jo karenge ap sitam wahan wo abhi sahi wo yahin sahi

Unhi dehkne ke jo loo lagi to naser dehk hi lege hum
Wo hazar anhk se door ho wo hazar parda naseen sahi

                                                                                   Peer Naseer Udin Naseer Shah

Peer Naseerudin Naseer Shah was the pakistani sufi poet.He wrote many poetry in urdu ,punjabi and
Arabic.He was the great name in tabkiq Islam.He spreading Islam in pakistan and show the great image of Islam.


Zubair Jani

Post a Comment

2 Comments