Ye Kesa Nasha Hai Mein Kis Ajab Khumaar Mein Hoon
Tu Aa Kay Jaa Bhi Chuka Hai Mein Intzaar Meinn Hoon
Makaan Hai Qabar Jisay Log Khud Bnatay Hain
Mein Apne Ghar Mein Hoon Yaa Mein Kisi Mazar Mein Hoon
Dar e Faseel Khula Yaa Pahaad Sar Se Hata
Mein Ab Giri Hoi Galyoon Kay Marg e Zaar Mein Hoon
Bas Itna Hosh Hai Mujhko Kay Ajnabi Hai Sab
Ruka Howa Hoon Saffar Mein Kisi Dayyar Mein Hoon
Mein Hoon Bhi Aur Nahi Bhi Ajeeb Baat Hai Ye
Ye Kesa Jabbar Hai Mein Kis Kay Ikhtiyaar Mein Hoon
Munir DEkh Shajar Chand Aur Dewarain
Hawa Khiza Ki Hai Shab Per Shab e Bahaar Mein Hoon
Munir niazi best poetry - Be Chain Bohat Phirna Ghabraye Howay Rehna - Best Urdu Ghazal
Another bieutifull urdu poetry uploaded by munir niazi i love munir niazi shayari.munir niazi urdu poetry in urdu is so sad and hearttouching.munir niazi is the pakistani urdu poet and munir niazi best urdu poetry read and watch all of the world.
0 Comments