Coke Studio 2020 | Jaag Rahi | Fariha Pervez ft. Ali Noor - Fariha Pervez ft. Ali Noor Lyrics
| Singer | Fariha Pervez ft. Ali Noor |
| Singer | Mujahid Hussain, Rohail Hyatt |
| Song Writer | Zahid Abbas |
Jaag rahi main to piya ke jagaaye
Jaag rahi main to piya ke jagaaye
In nainan mein neend kahaan re
In nainan mein neend kahaan
Jin mein piya samaaye
Jaag rahi main to piya ke jagaaye
Jaag rahi main to piya ke jagaaye
Kaahe gayo pardes piya
Le gayo mora saath jiya
Kaahe gayo pardes piya
Le gayo mora saath jiya
Mohe kaṭhin hai rain bitaana
Mohe kaṭhin hai rain bitaana
Jaag rahi main to piya ke jagaaye
Jaag rahi main to piya ke jagaaye
Raah takat din
Raah takat din ḍoob gaya
Ḍoob gaya
Raah takat din ḍoob gaya
Laaye na panchhi tora pata
Dekh piya mohe bhool na jaana
Dekh piya mohe bhool nah jaana
Jaag rahi main to piya ke jagaaye
Jaag rahi main to piya ke jagaaye
Le gaye kacchi neend uṭha ke
Lauṭ saka to main aaoon ga waapas
Sahta hoon main bhi judaai tiri
Tujh tak bas meri kook na jaaye
Jaag rahi hai tu mere jagaaye
Jaag rahi hai tu mere jagaaye
In nainan mein
In nainan mein
In nainan mein neend kahaan
Jaag rahi main to, main to piya ke jagaaye

0 Comments