SUhani Namod-e-Jahaan Ki Ghadi Thi
Tabassam Fisha zindgi Ki Kali Thi
Kahi Mehar Ko Taj-e-zar Mil Raha Tha
Ata Chand Ko Chandni Horahi Thi
Siyahh-e-Pairhaan Chand Ko Day rahe the
Sitaroon Ko Taleem-e-Tabandgi thi
Kahi Shakh-e-Hasti ko lagte thay Pattay
Kahi zindgi ki kali photti thi
Farishtay Sikhate thay shabnam ko ronaa
Hassi Gul ko Pehle Pehal Aa rahi thi
Atta Dard Hota Tha Shayar kay dil ko
KKhuddi Tashna kaam-e-Maae-e-BEkhudi Thi
Othi Awal Awal Ghata Kali Kali
Koi Hoor Chotii Ko Khole Khadi Thi
Zameen Ko Tha Dawa Kay Me Asman Hoon
Makan Keh Raha Tha Kay Me LaMakaan Hoon
Garz es qadar ye nazara tha pyara
kay nzargi hoo gai sirapaa-e-nazara
Malak Azmatey they parwaaz apni
Jabeeno se Noor-e-azal ashkara
Farishta Tha Ek ishq tha naam jis ka
Kay thi Rehbari os ka sab ka sahara
Farishta Kay Putla tha Betabiyoo Ka
Malak ka malak Aur Pare Ka Para
Pay-e-Sair-o-Firdoos Ko jaa Raha Tha
Qaza Se Wo Mila Rah me Wo Qazara
Ye Pocha Tera Naam Kia Kaam Kia ha
Nahi Ankh Kay Deed Teri Gwara
Howa Sun kay goya qaza ks farishta
ajal ho mera kaam ha ashkara
Odati hu me rukht-e-hasti kay purzey
bhujati hun me zindgi ka sharara
meri ankh me jadoo-e-nasiti ha
pyaam-e-fanaa ha osi ka ishara
magar ek hasti ha duniya me aisi
wo atish ha me samne os kayy paraa
SHARAR ban kay rehti ha insan kay dil me
wo ha noor-e-matlab ki ankhon ka taraan
tapakti ha ankho se ban ban kay anssoo
wo ansoo kay goon jin ki talkhi gwara
sunni ishq ne guftagoo jab qaza ki
hansi os kay lab per howi ashkara
giri os tabassum ki bijli ajal per
andhre ka hoo noor me kia guzara
baqa ko jo dhekha qaza hogai wo
qaza thi shikar-e-qaza hogai wo
2 Comments
میرے سینے سے لگ کر سن وہ دھڑکن
ReplyDeleteجو ہر پل تعرے ملنے کا درد کرتی ہے
Urdu Best Poetry
thanks
Delete