Dagh Dehlvi Urdu Poetry
Le Chla Jan Meri Roth ke Jane Tera
Asy Ane se Tu Behter tha Na Ana tera
Apne Dil ko bhi Bataun na Thikana Tera
Sab ne jana jo pata ek ney janaa teraa
Tu Joo ae Zulfy Pershan Raha Kerti Hai
Kis key Ujdy hoye Dil mein hai Thikana Tera
Arzu hi Na Rahi Subhe Watan ki mujko
Sam-e-Gurbat Hai Ajab waqt Suhana Tera
Ye Soch ker tujhe ay mout Laga Rahka Hai
Kam Ata hai Muskil waqt mein Ana Tera
Ae Dil Shifta Mein Aagg Lagane Wale
Rang laya hai yeh Likhy Ga Zamana tera
Tu Khuda tu nhi aey Na-sahy Nanda mere
Kiya Khata ki jo Kaha mein ne Naa MANA tera
Rang Kiya visal-e-Adu Ka Talaq hi nhi
Mujhe Vallah Hansata hai Rulana Tera
Kaaba --Dair mein Ya Chasma-o-Dil-e-asihq mein
Inhi do char gharoo mein hai Thikana tera
Terk Adat se mujhe neend nhi ane ki
Kahi neecha na hoo Ae Goor Sirhana Tera
Mein Jo kehta hoo Uthay hai Bhut Ranje-E-Firaq
Wo yeh Kehte hai bada Dil hai Tawana Tera
Bazm-e-Dushman se tujhe kon utha sakta hai
Ek Qayyamt ka Uthana HAI Uthana Tera
Apni Ankhoo mein abhi kaund gy bijli se
Hum na samjhe ke yeh Ana hai ya jana tera
Yun tu kiya anyga Tuu Fart-e-Nazaqat se Yahan
Sakht Dashwar hai Dohke mein bhi ana tera
Dagh ko wo yun mitatte hai yeh farmte hai
Tu badl daal Hoya naam purana tera
Dagh Dhilvi
Urdu Poetry In Urdu Dagh Dehlvi Urdu Poetry Le Chala Jan Meri Ruth Ke Jana Tera.
Zubair JAni
More Poetry
More Urdu Poetry, Hindi Poetry, Sad Poetry, Barish Poetry, Love Poetry, Udaas Poetry, Sad Shayari, Hindi Shayari, Urdu Shayari, Romantic Poetry, Pdf Books, Allama Iqbal Poetry, Mir Taqi Mir Poetry, Mirza Ghalib Poetry, Wasi Shah Poetry, Ali Zaryoon Poetry, Anwar Masood Poetry, and more bieutifull india and pakistan poets poetry available on this blog Zubair Poetry.very sad poetry in urdu images


0 Comments